Thursday, February 7, 2013

Woh shaam...

Woh shaam, kuch aur thi..
Woh chamakthi chandni, woh jhilmil sitare,
Woh lehrati sagar, woh tanha kinare..
Woh shaam, kuch aur thi, woh shaam, kuch aur hi thi..

Woh teri masti bhari aankhen, un aankhon ki woh gehrai,
Woh tere zulf, aur zulfon ki woh parchai..
Woh tera muskurana, muskurate hue mere paas aana,
Woh mera sharmana, sharmate hue tere baahon mein gir jaana..
Woh shaam, kuch aur thi, woh shaam, kuch aur hi thi..

Woh tere pyaar ka meetha sa izhar,
Woh mere dil mein khushiyon ki bahar..
Woh betabiyan, woh agdaayiyan, Woh milan ke madhur sangeet,
Woh sangeet jiski dhun hi nasheeli thi..
Woh shaam, kuch aur thi, woh shaam, kuch aur hi thi..

Woh raat beeth gayi, woh baatein beeth gaye,
Us shaam ki yaadon mein na jaane kitne mahine beeth gaye
Na beethe toh woh khoobsurat pal, Jo aaj bhi mere dil mein machathi hai hulchul..
Kyunki,
Woh shaam, kuch aur thi, woh shaam, kuch aur hi thi..
Woh shaam, kuch aur thi, woh shaam, kuch aur hi thi..



No comments: